Sunday, July 17, 2011

"Jhamela Zindagi Ka.."

Jo chaha tha maine , wo toh na mila ,
but jo bhi mila usmey compromise kiya.
socha tha rahunga khush abb is k sath ,
par sali ajati h phir wahi baat...
manga kuch aur mila kuch
socha kuch aur sala hua kuch...
har kisi ka yahi rona hai...
mummy se better lagti aj toh "shona" hai..
kaisa ye jhamela hai zindagi ka..
bharosa hi nai yahan kisi ka...
kaisa ye jhamela hai zindagi ka....
kal kya ho sala kis ko pata.....

tut te sapne aur tut te dil
abb toh rahe hai run-of-the-mill
khud se milna ko sala waiting hai
sunshine mey bhi its raining hai...
is dikhawey mey kuch aata na nazar
ye zindagi ban padi hai ek cheese burger...
kaisa ye jhamela hai zindagi ka...
dil hai chotte par naam hai bada...
kaisa ye jhamela hai zindagi ka...
kal kya ho sala kis ko pata...

yu toh facebook par mashhoor hai..
par khud se sala koso door hai....
abb toh mirror bhi fake hai..
zinda hai phir bhi nam k aagey lagta hai "late" hai...
ajeeb lagte hai log...aur ajeeb si hai dagar...
lagta hai ajeeb hai sali khud hi ki nazar...
lagta hai talli hona is not a crime...
paisa hi dikhta bas abb everytime....
kaisa ye jhamela hai zindagi ka....
out of mind hai mind khud hi ka...
kaisa ye jhamela hai zindagi ka..
kal kya ho sala kis ko pata....

dusro ki khushi k liye khud ki khushi daoon pe laga di
ek hi oppurtunity thi ji ne ki....wo be gawan di...
kab tak jita rahu doojo k liye..
na jane kitne aasu daru k sath piye...
selfish hona hi abb lagta best hai...
par yahi sabse bada test hai....
kaisa ye jhamela hai zindagi ka...
kya main chahu abb mjhe na pata...
kaisa ye jhamela hai zindagi ka...
bharosa nai yaha kisi ka....



Yahoo...yahoo...
cheers...!!!

No comments:

Post a Comment